ہمیں تو شہر میں کوئی تیرے جیسا نہیں ملتا
یہ کیسی دھند میں ہم تم سفر کا آغاز کر بیٹھے
تمہیں آنکھیں نھیں ملتیں ہمیں چہرہ نہیں ملتا
ہر اک تدبیر اپنی رائیگاں ٹھہری محبت میں
کسی بھی خواب کی تعبیر کو راستہ نہیں ملتا
زمانے کو قرینے سے وہ اپنے ساتھ رکھتا ہے
مگر میرے لیے اس کو کوئی لمحہ نہیں ملتا
مسافت میں دعاۓ ابر ان کا ساتھ دیتی ہے
جنہیں صحرا کے دامن میں کوئی دریا نہیں ملتا
جہاں ظلمت رگوں میں اپنے پنجے گڑ دیتی ہے
اس تاریک رستے پر دیا جلتا نہیں ملتا
........................................................
Teri khushboo nahi milti, Tera lehja nahi milta
Hamein tu shehar mein koi Tere jaisa nahi milta
Yeh kaisi dhund mein hum tum safar Aaghaz kar baithe
Tumhein Aankhein nahi miltein hamein Chehra nahi milta
Har ik tadbeer apni Raigaan thehri muhabbat mein
Kisi bhi Khawab ki taabeer ko Rastah nahi milta
Zamane ko qarine se woh apne sath Rakhta hai
Magar mere liye is ko koi Lamha nahi milta
Musafat mein duaye abr in ka sath deti hai
Jinhein sehra ke Daman mein koi darya nahi milta
Jahan zulmat Ragon mein apne panje gar deti hai
Isi tareek raste par dia jalta nahi milta

0 comments:
Post a Comment