Monday 27 May 2013

Usko Fursat Hi Nahi Waqt Nikale Mohsin

Posted by Unknown on 00:42 with No comments
ﺍُﺱ ﮐﻮ ﻓﺮﺻﺖ ﮨﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﻭﻗﺖ ﻧﮑﺎﻟﮯ ﻣﺤﺴﻦ
ﺍﯾﺴﮯ ﮨﻮﺗﮯ ﮨﯿﮟ ﺑﮭﻼ ﭼﺎﮨﻨﮯ ﻭﺍﻟﮯ ﻣﺤﺴﻦ؟

ﯾﺎﺩ ﮐﮯ ﺩﺷﺖ ﻣﯿﮟ ﭘﮭﺮﺗﺎ ﮨﻮﮞ ﻣﯿﮟ ﻧﻨﮕﮯ ﭘﺎﺅﮞ
ﺩﯾﮑﮫ ﺗﻮ ﺁ ﮐﮯ ﮐﺒﮭﯽ ﭘﺎﺅﮞ ﮐﮯ ﭼﮭﺎﻟﮯ ﻣﺤﺴﻦ

ﮐﮭﻮ گئی ﺻﺒﺢ ﮐﯽ ﺍُﻣﯿﺪ، ﺍﻭﺭ ﺍﺏ ﻟﮕﺘﺎ ﮨﮯ
ﮨﻢ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻮﮞ ﮔﮯ، ﮐﮧ ﺟﺐ ﮨﻮﮞ ﮔﮯ ﺍُﺟﺎﻟﮯ ﻣﺤﺴﻦ

خاک کو بھی نہیں پہنچے گا کوئی کربلا کی
اب بھلے ایک جہاں خون میں نہا لے محسن

ﺣﺎﮐﻢِ ﻭﻗﺖ ﮐﮩﺎﮞ، ﻣﯿﮟ ﮐﮩﺎﮞ، ﻋﺪﻝ ﮐﮩﺎﮞ
ﮐﯿﻮﮞ ﻧﮧ ﺧﻠﻘﺖ ﮐﯽ ﺯﺑﺎﮞ ﭘﺮ ﻟﮕﯿﮟ ﺗﺎﻟﮯ ﻣﺤﺴﻦ

ﻭﮦ ﺟﻮ ﺍِﮎ ﺷﺨﺺ ﻣﺘﺎﻉِ ﺩﻝ ﻭ ﺟﺎﮞ ﺗﮭﺎ، ﻧﮧ ﺭﮨﺎ
ﺍﺏ ﺑﮭﻼ ﮐﻮﻥ ﻣﯿﺮﮮ ﺩﺭﺩ ﺳﻨﺒﮭﺎﻟﮯ ﻣﺤﺴﻦ

Usko Fursat Hi Nahi Waqt Nikale Mohsin,
Aise Hote Hain Bhala Chahne Wale Mohsin,

Yaad K Dast Mein Phirta Hoon Main Nange Paon,
Daikh To Aa K KAbhiPaon K Chahle Mohsin,

Kho Gayi Subha Ki Ummeed Aur Ab Lagta Hai,
Hum Nahi Hon Gay K Jab Hon Gay Ujale Mohsin,

Khaak Ko Bhi Nahi Pahunche Ga Koi Karbala Ki,
Ab Bhale Aik Jahan Khoon Mein Naha Lay Mohsin,

Main Kahan, Hakim-e-Waqt Kahan, Adal Kahan,
Kion Na Khalqat Ki Zuban Par Lagain Taale Mohsin,

Wo Jo Ik Shakhs Mata-e-Dil-o-Jaan Tha Na Raha,
Ab Bhala Kaun Mere Dard Sambhale Mohsin

0 comments:

Post a Comment