Kyun sajatay ho Roz Intezar ki Mehfil Aye Dil...!
Yahan kis ko fursat hai k Humen Roz Yaad karay
- - - - - - - - - - - - - - - - - - -
Mujhe yaad aa kar itna Bechain na karo "DOST"
Ik yehi Sitam kaafi hai ke Paas nahi ho Tum . . . !
- - - - - - - - - - - - - - - - - - -
Yeh Dil he tu Jaanta hai Meri Mohabbat ka Aalam "Dost"
Mujhe Jeene ke liye Saanson ki nahi,Teri Zaroorat hai. . !
- - - - - - - - - - - - - - - - - - -
Jab Tum Lout aao tu Sadiyon ki Umar lana "Dost"
Tumharay sath ab mujhko Mukhtasar nahi rehna . !
- - - - - - - - - - - - - - - - - - -
Na socha karo har bar ke Hum Chorr dain gay Tum ko "Dost"
Na "Tum" itne Aam ho , Na yeh Mere Bas ki Baat hai . . . . . !
- - - - - - - - - - - - - - - - - - -
Zamaana dost hai sara kis kis ko yad rakho ge,
Khudaa karey ke tumhe mujhse dushmani ho jaye..
- - - - - - - - - - - - - - - - - - -
Mujhe lamhaa bhar ki dostiyaa’n ab aur bhi sataayen gi,
Meri umar bhar ki jo pyaas thi, wohi log mujhse bichar gaye..
- - - - - - - - - - - - - - - - - - -
Kya jaaniye kab kon nishana banaye mujhe,
Darta hoon ke duniya mein mere yaar bohat hain..
- - - - - - - - - - - - - - - - - - -
Hum wafaayen kar ke rakhte hain wafaaon ki umeed,
Dosti mein iss qadar sauda’gari bhi jurm hai..
- - - - - - - - - - - - - - - - - - -
Zindagi ke udas lamhon mein,
Bewafa dost yaad aate hain..
- - - - - - - - - - - - - - - - - - -
Kisi se kya gila karna yeh dastoor-e-zamana hai,
Naye jab dost miltay hain puraanay bhool jatay hain..
- - - - - - - - - - - - - - - - - - -
Tumhari dosti ke dekh kar sab rashk karte hain,
Jo bas chalta to dunya cheeen leti zindagi meri..
- - - - - - - - - - - - - - - - - - -
Pukaarti hain fursatain, Kahan gayi woh sohbtain,
Zameen nigal gayi unhe ke asmaan kha gaya..
- - - - - - - - - - - - - - - - - - -
Mulaqaatain Musalsal Hon To Dil-Chasspi Nahi Rehti,
Bary Dil-Chassp Hote Hain Yeh Be-Tarteeb Yaaraanay!!
- - - - - - - - - - - - - - - - - - -
Issey khuloos kaho ya meri nadani,
Jo koi hans ke mila us se dosti karli..
- - - - - - - - - - - - - - - - - - -
Itni Shiddat Se Mujhe Us Shakhs Ne Manga Nadeem,
Dushmani Ke Bawajood Inkaar Ki Surat Na Thi..
- - - - - - - - - - - - - - - - - - -
0 comments:
Post a Comment