Saturday, 22 December 2012

Nice Ghazals......

Posted by Unknown on 01:50 with No comments
"Chhoota Jo Tera Haath Tou Hum Toot Ke Roye"

Chhoota Jo Tera Haath Tou Hum Toot Ke Roye
Tum Jo Na Rahay Saath Tou Hum Toot Ke Roye

Chaahat Ki Taman'na Thi Aur Zakhm Diye Tum Ne
Paayi Jo Yeh Saughaat Tou Hum Toot Ke Roye

Imkaan Na Tha Duur Talak Tajdeed-e-Ta'alluq Ka
Dekhay Jo Yeh Haalaat Tou Hum Toot Ke Roye

Anjaan Thay Hum Ab Tak Dard Ki Soorat Se
Hui Jo Mulaaqaat Tou Hum Toot Ke Roye

Jeeti Thi Sadaa Hum Ne HAr Baazi Teray Saath
Tanha Jo Sahi Maat Tou Hum Toot Ke Roye

Logo'n Ne Bahut Poochha Sabab Veraani-e-Dil Ka
Jab Ho Na Saki Baat Tou Hum Toot Ke Roye

Thi Dhoop Bahut Taiz Har Simt Judaayi Ki
Barsi Jo Na Barsaat Tou Hum Toot Ke Roye

Zad Mein Tha Khizaao'n Ki Ab Ke Dil-e-Barbaad
Bichhrray Jo Shajar-Paat Tou Hum Toot Ke Roye

Din Bhar Tou Rahay Chup Keh Duniya Ki Nazar Thi
Bheegi Jo Siaah Raat Tou Hum Toot Ke Roye

Samjha Tha Sadaa Tujh Ko Apna He Koi Hissa
Tukrro'n Mein Bati Zaat Tou Hum Toot Ke Roye

Hum Kartay Rahay Aaj Talak 'Uss Chaand' Ki Khwahish
Yaad Aayi Jo Auqaat Tou Hum Toot Ke Roye

..............................................................

 "Mujhe Tumse Mohabbat Hai"

Kisi Nazuk Se Lamhe Mein Kisi Din Shaam Se Pehley
Agar Chupke Se Tere Kaan Mein Aa Kar Yeh Keh Dun
k
"Mujhe Tumse Mohabbat Hai"
Tou Tum Naraz Mat Hona
Faqat Itna Hi Kar Dena
Mujhe Bahoo Mein Lekar Tum
Meri Ankhon Me Ankhen Dal K
Mere Baloon Ko Sehla Kar Faqat Itna Hi Keh Dena
k
"Tum Piyar K Kabil Nahi"
Yakeen Jano K Tum Mujhse
Agar Itna Bhi Keh Do Gaye
Yehi Mujhko Ganimat Hai
Tuhmari Yeh Jo Nafrat Hai
Mujhse Is Sey Mohabbat Hai
Mujhe Tumse Mohabbat Hai
 ..........................................................................
"BIKHAR RAHI HAI MERI ZAAT US SE KEHNA"

 BIKHAR RAHI HAI MERI ZAAT US SE KEHNA
KABHI MILAY TO YEH BAAT US SE KEHNA
WOH SATH THA TO ZAMANA THA HAMSAFAR MERA,
MAGR AB KOI NAHI MERE SATH US SE KEHNA,
US SE KEHNA K BIN US K DIN NAHIN KATTA,
SISIK SISIK K KATTI HAI RAAT US SE KEHNA,
USY PUKARON K KHUD HI POHNCH JAON US K PAAS,
NAHIN RAHI WOH HALAT US SE KEHNA,
AGAR WO PHIR BHI NA LOTAY TO AY MEHRBAN QASID,
HAMARI ZESST KI HALAT USY KEHNA,
HER JEET US K NAAM KAR RAHA HOON MAIN,
MAIN MANTA HON APNI HAAR US SE KEHNA,
 ..............................................................
"Koi Ehd Bhi Usko Yad Nahi"

 KOI EHD BHI US KO YAD NAHI,
KOI BAAT BHI US KO YAD NAHI,
EK SHAKHS NE US KO CHAHA THA,
WOH ZAAT BHI US KO YAD NAHIN,
JAB SHAB KI BIJLI CHAMKI THI,
AUR BADAL TOT K BARSA THA,
HUM DONO JIS MEIN BHEGAY THE,
WOH BARSAT BHI US KO YAD NAHI,
WOH SAHIL DARYA PHOOL HAWA,
WOH WADA SATH NIBHANAY KA,
AUR SHAB BHAR "CHAND" KO DEKHA THA,
WOH RAAT BHI US KO YAD NAHIN,
WOH KEHTI THI MAIN SUNTA THA,
MAIN KEHTA THA WOH SUNTI THI,
UN LAKHON BATON MEIN KOI EK BAAT BHI US KO YAAD NAHIN,

Koi ehd bhi usko yad nahi

Koi ehd bhi us ko yad nahi,
koi baat bhi us ko yad nahi,
ek shakhs ne us ko chaha tha,
woh zaat bhi us ko yad nahin,
jab shab ki bijli chamki thi,
aur badal tot k barsa tha,
hum dono jis mein bhegay the,
woh barsat bhi us ko yad nahi,
woh sahil darya phool hawa,
woh wada sath nibhanay ka,
aur shab bhar "chand" ko dekha tha,
woh raat bhi us ko yad nahin,
woh kehti thi main sunta tha,
woh kehta tha woh sunti thi,
un lakhon baton mein koi ekbaat bhi us ko yaad nahin,
bikhar rahi hai meri zaat us se kehna
kabhi milay to heh baat us se kehna
woh sath tha to zamana tha hamsafar mera,
magr ab koi nahi mere sath us se kehna,
- See more at: http://yopakistan.com/#sthash.hFcbxuWS.dpuf

Koi ehd bhi usko yad nahi

Koi ehd bhi us ko yad nahi,
koi baat bhi us ko yad nahi,
ek shakhs ne us ko chaha tha,
woh zaat bhi us ko yad nahin,
jab shab ki bijli chamki thi,
aur badal tot k barsa tha,
hum dono jis mein bhegay the,
woh barsat bhi us ko yad nahi,
woh sahil darya phool hawa,
woh wada sath nibhanay ka,
aur shab bhar "chand" ko dekha tha,
woh raat bhi us ko yad nahin,
woh kehti thi main sunta tha,
woh kehta tha woh sunti thi,
un lakhon baton mein koi ekbaat bhi us ko yaad nahin,
bikhar rahi hai meri zaat us se kehna
kabhi milay to heh baat us se kehna
woh sath tha to zamana tha hamsafar mera,
magr ab koi nahi mere sath us se kehna,
- See more at: http://yopakistan.com/#sthash.hFcbxuWS.dpuf

Koi ehd bhi usko yad nahi

Koi ehd bhi us ko yad nahi,
koi baat bhi us ko yad nahi,
ek shakhs ne us ko chaha tha,
woh zaat bhi us ko yad nahin,
jab shab ki bijli chamki thi,
aur badal tot k barsa tha,
hum dono jis mein bhegay the,
woh barsat bhi us ko yad nahi,
woh sahil darya phool hawa,
woh wada sath nibhanay ka,
aur shab bhar "chand" ko dekha tha,
woh raat bhi us ko yad nahin,
woh kehti thi main sunta tha,
woh kehta tha woh sunti thi,
un lakhon baton mein koi ekbaat bhi us ko yaad nahin,
bikhar rahi hai meri zaat us se kehna
kabhi milay to heh baat us se kehna
woh sath tha to zamana tha hamsafar mera,
magr ab koi nahi mere sath us se kehna,
- See more at: http://yopakistan.com/#sthash.hFcbxuWS.dpuf

Koi ehd bhi usko yad nahi

Koi ehd bhi us ko yad nahi,
koi baat bhi us ko yad nahi,
ek shakhs ne us ko chaha tha,
woh zaat bhi us ko yad nahin,
jab shab ki bijli chamki thi,
aur badal tot k barsa tha,
hum dono jis mein bhegay the,
woh barsat bhi us ko yad nahi,
woh sahil darya phool hawa,
woh wada sath nibhanay ka,
aur shab bhar "chand" ko dekha tha,
woh raat bhi us ko yad nahin,
woh kehti thi main sunta tha,
woh kehta tha woh sunti thi,
un lakhon baton mein koi ekbaat bhi us ko yaad nahin,
bikhar rahi hai meri zaat us se kehna
kabhi milay to heh baat us se kehna
woh sath tha to zamana tha hamsafar mera,
magr ab koi nahi mere sath us se kehna,
- See more at: http://yopakistan.com/#sthash.hFcbxuWS.dpuf
.................................................................

"Mujhe Tum Yaad Aate Ho"



 Kisi Ki Maang Sajti Hai Mujhe Tum Yaad Ate Ho
Mohabbat Jab Tarapti Hai Mujhe Tum Yaad Ate Ho

Khizaan Me Zard Patte Jab Bichar Jate Hain Shakhon Se
Koi Rut Jab Badalti Hai Mjhe Tum Yaad Ate Ho

Sama Jata Hai Ankhon Main Tere Jazbon Ka Bheega Pan
Kahin Baarish Barasti Hai Mjhe Tum Yaad Ate Ho

Mohabbat Bhi To Yunhi Doob Jaati Hai Andheroon Main
Shafaq Main Dhoop Dhalti Hai Mujhe Tum Yaad Ate Ho

Zamane Ke Sawalon Ko Main Hans Ke Taal Dun Lekin
Nami Ankhon Ki Kehti Hai Mujhe Tum Yaad Ate Ho
 ......................................................
" JAB TAK HAI JAAN"

 teri aankhon ki namkeen mastiyaan
teri hansi ki beparwaah gustakhiyaan
teri zulfon ki lehrati angdaiyaan
nahi bhoolunga main
jab tak hai jaan, jab tak hai jaan

 tera haath se haath chhodna
tera saayon se rukh modna
tera palat ke phir na dekhna
nahin maaf karunga main,
jab tak hai jaan, jab tak hai jaan..

 baarishon mein bedhadak tere naachne se
baat baat pe bewajah tere roothne se,
chhoti chhoti teri bachkani badmashiyon se,
mohabbat karunga main
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan..

 Tere jhoothe kasme vaadon se,
tere jalte sulagte khwabon se,
teri beraham duaon se,
nafrat karunga main,
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan..
 ..............................................................
"Yeh Zindagi Tere Sath Ho"

Yeh Zindagi tere sath ho,
Yeh Arzoo din raat ho,

Main Tere Sung Sung Chalon,
Tu har safar main mere Sath ho,

Main Kaanton par bhi Chal Paron,
Tere Pyar ki Jub Barsaat hoo,

Kabhi Sham Dhalay jab hum milay,
Na din Dhalay na Raat hoo,

Yeh Zindagi tere sath ho,
Yah Arzoo din raat ho...

  ................................................

"Koi Tumse Pooche Kaun Hoon Main"

 Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.

Ek dost hai kaccha pakka sa,
Ek jhooth hai aadha saccha sa.
 jazbaat ko dhake ek parda bas,
Ek bahana hai accha sa.

Jeevan ka ek aisa saathi hai,
Jo door ho ke pass nahin.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.

Hawa ka ek suhana jhonkha hai,
 Kabhi nazuk toh kabhi tufaano sa.
Sakal dekh kar jo nazrein jhuka le,
Kabhi apna toh kabhi begaano sa.

Zindgi ka ek aisa humsafar,
Jo samandar hai, par dil ko pyaas nahi.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahi.

Ek saathi jo ankahi kuch baatein keh jaata hai,
Yaadon me jiska ek dhundhla chehra reh jaata hai.
 Yuh toh uske na hone ka kuch gham nahi,
Par kabhi-kabhi aankho se ansu ban ke beh jaata hai.

Yuh rehta toh mere tassavur me hai,
Par in aankho ko uski talaash nahi.
Koi tumse pooche kaun hoon main,
Tum keh dena koi khaas nahin……..

  ........................................................................

"MUJHEY ACHA SA LAGTA HY"

 MUJHEY ACHA SA LAGTA HY,
TUMHARY SANG SANG CHALNA,
WAFA KI AAG MAY CHALNA,
TUMHEY NARAZ KER DENA,
KABHI KHUD BHI ROOTH JANA,
TUMHARI BARUKHI PER BHI,
TUMHARI AARZOO KERNA,
KHUD APNEY DIL KI DHADKEN SY,
TUMHARI GUFTAGOO KERNA,
MUJHEY ACHA SA LAGTA HY,
BOHT ACHA SA LAGTA HY,
TUM HI KO DEKHTEY REHNA,
TUM HI KO SOCHTEY REHNA,
BOHT GHERY KHAYALON MAY,
KHAWABON MAY,SAWALON MAY,
MOHABBATON K HAWALON MAY,
TUMHARA NAM AA JANA,
MUJHEY ACHA SA LAGTA HY,
BOHT ACHA SA LAGTA HY...!

 .....................................................................
"Mohabbat Dukh Tu Deti Hai!"

Mohabbat Dukh Tu Deti Hai!

Mager Ek Baat Kehni Hai!
K
Jis Ko Chaha Jata Hai!
Zarori Ye Nahi Hota!
K
Us Ko Pa Lia Jay!
Kabi Us K Bichrney see!
Mohabat Kam Nahi Hoti!
Zara Si Dair Pehlay To!
Yehi Ehsas Hota Hai!
K
Koi Jee Nahi Sakta
Mgar!
Phir Rafta Rafta Hi
Haqiqat Khulti Jati Hai!
K
Mohabat Wo Nahi Hoti
K Jis Ko Pa Lia Jay!
Mohabat Wo hi Hoti Hai!

Jo Hamesha Sath Rehti Hai..
 
..................................................................................................................
 
"Jahan Par Tum Nahin Hotay"

Naa To Phool Khiltay Hain Na Hi Mausam Badaltay Hain,

Wahan Tu Kuch Nahi Hota Jahan Par Tum Nahi Hotay,

Yahan Wesay To Har Sogaat Asaani Se Milti Hai,

Mera Bas Dil Nahi Lagta Jahan Pr tum nhi Hote,

Yahan To Log Sadiyon Ko Bhi Lamhon Me Badalte Hain,

Mera Ek pal Nahi Kat'ta Jahan Par Tum Nahi Hotay,

Sabab Roney Ka Wo Pochain To Aayan Itna Keh Dena,

Mujhe Hasna Nahi Aata Jahan Par Tum Nahi hotey....
....................................................................................

"Shaam Ki Is Udasi Mein"

Sham Ki is Udasi Mein,

Hum Yad Tumhi Ko Karte Hain,


Kbi Rotay Hain, Kabhi Hanste Hain,


Hum Khud Se Batein Karte Hain,


Chand K Dhundley Ayine Men,


Talash Chehra Tera Hum Karte Hain,


Dhalte Suraj Ki Kirno Se
,

Hum Teri batein Karte Hain,


Yeh Dunia Wale Kuch B Bolein
,

Hum Pyar Tujhi Se karte hain...
..............................................................................
  
"Us Ke Sath Rehte Rehte"

Hame Chahat Si Ho Gayi,
Usse Baat Karte Karte
Hame Aadat Si Ho
Gayi........
Ek Pal Bhi Na Mile To Na jaane kyu bechani si
rehti hai,
Dosti nibhate nibhate
hame mohabbat si ho
gayi..♥ ♥
 ...................................................................................

 "(GHAZAL)"


Ay Waqt zara to tham ja
mujhe yaad "KISI " Ko Kerne dy
Mujhe "Peyar" hai 1 "SUNG DIL" Say
Jo Koi "BAT" Mujhay na karne dy
Na Apnay :PAS" wo aany dy
Na Khud se "DOOR" Wo Jany dy
Na "DIL" ko apny Pas rkhy
Na our Kisi ka "HONY" dy
Her Waqt mujy "WO" Yad Aay
Phir "DIL" Se ik aawaz aay
ye Kaisi "CHAHAT" hai us ki
Jo "JEENY" de na :MERNY" dy 

.................................................................................

 "Daikhtay Hain Yeh Aziat Gawara Ker K..!!"


Baaton Baton Mein Bicharnay Ka Ishara Ker K
Khud Bhi Roya Woh Bohut Hum Say Kinara Ker K
!
Sochta Rehta Hon Tanhai Mein Anjam-E-Khuloos
Phir Usi Jurm-E-Mohabbat Ko Dobarah Ker K
!
Jagmaga Di Hain Teray Shehar Ki Galiyan Mein Nay
Apnay Her Ashk Ko Palkon Pay Sitara Ker Kay
!
Daikh Laitay Hain Chalo Hosla Apnay Dil Ka
Aur Kuch Rooz Teray Sath Guzara Ker K
!
Aik Hi Shehar Mein Rehna Magar Milna Nahin
Daikhtay Hain Yeh Aziat Gawara Ker K..!!

.....................................................................................

 "Mein Ne To Bohat Chaha Magar Wo Mila He Nahi"


 Mein ne to bohat chaha magar wo mila he nahi ...


Laakh koshish ki magar fasla mita he nahi...


Us ko majboor zamane ne is kadar kar diya k...


Meri kisi saada par woh thehra he nahi...


khuda se jholi pehla kay manga tha usay ...


Khuda ne meri kisi dua ko sunna he nahi...


Har aik se pucha sabab us kay na milne ka ...


Har eik ne kaha woh tere liye bana hi nahi...!!

.......................................................................................... 

 "Uss Se Keh Dena"


 Karray Hain Hijar k Lamhaat,Uss Se Keh Dena,
Bikhar Rahi Hay Meri Zaat,Uss Se Keh Dena,

Hawa-e-Mousam- e-Gham Uss k Shehar Jaye To,
Mery Dukhoon Ki Koi Baat Uss Se Keh Dena,

Yeh WeHshatein,Yeh Udasi,Yeh RatJagoo k Azaab,
Ussi Ki Hain Yeh Inayaat,Uss Se Keh Dena,

Bohat Taweel Bohat KarabNaak Hoti Hain,
Judayion Ki Har Ik Raat,Uss Se Keh Dena,

Vo Dil Ki Bazi Jahan Mujh Se Jeetna Chahey,
Main Maan Loon Ga Vohin Maat,Uss Se Keh Dena,

Wafa Ki Raah Mein,Main Aaj bhi Akaila Hoon,
Koi Nahi Hay Mery Saath,Uss Se Keh Dena...

.............................................................................................. 

 "Pyaas Vo Dil ki Bujhaane Kabhii Aayaa Bhi Naheen"


 Pyaas Vo Dil ki Bujhaane kabhii aayaa bhii naheen,
kaisaa baadal hai jisakaa ko_ii saayaa bhii naheen,

beruKhii is se ba.Dii aur bhalaa kyaa hogii,
ek muddat se hame.n us ne sataayaa bhii naheen,

roz aataa hai dar-e-dil pe vo dastak dene,
aaj tak hamane jise paas bulaayaa bhii naheen,

sun liyaa kaise Khudaa jaane zamaane bhar ne,
vo fasaanaa jo kabhii hamane sunaayaa bhii naheen,

tum to shaayar ho 'Qateel' aur vo ik aam saa shaKhs,
us ne chaahaa bhii tujhe aur jataayaa bhii naheen...

............................................................................................

 "Mujhy Jeenay Ki Umeed Dobara Day Do"


 Mujhy jeenay ki umeed dobara day do,
Meri doobti kashti ko kinara dy do,

Main dard k sahil pay tanha khara hun,
Phir aa k apni baahon ka sahara day do,

Tera daaman to bhara hay sitaron say,
Mujhy sadqay may ik sitara day do,

Mery aangan my aj andhera ha bohat,
Meri dehleez ko phir apna nazara dy do,

Chund lamhy tujhy dekhnay ki hasrat hay bas,
My nay kab kaha waqt apna mujhy sara day do....

............................................................................................. 

 "Zid Na Kr"


 Tu Hawa K Hath Pe Chahtoun Ka Dia Jalany Ki Zid Na Kr,
Ye Udas Logo Ka Shehr Hai Yaha Muskrany Ki Zid Na Kr,

Me Hon Dosto Ka Dasa Hua, Mera Gham Hai Had Se Barha Huwa
Me Shiksta Ghar Ki Misal Hon Mere Pas Aany Ki Zid Na Kr

Me Teri Ghazal To Nahi Hon Na Jo Hr 1 Lab Pe Saja Rahon,
Me To 1 Misra-e-Dard Hon Mujhy Gungnany Ki Zid Na Kr,

Abhi Lout Aa, Abhi Waqt Hai Abhi Jan Baqi Hai Jism Me,
Tujhy Eilm Hai Meri JAN Hai Tu, Mujhy Aazmany Ki Zid Na Kr...

 ............................................................................................................

 "Us Ne Kaha Tum Me Pehli C Baat Nhi"


 Us Ne Kaha Tum Me Pehli C Baat Nhi...
Me Ne Kaha K Zindagi Me Ab Tera Saath Nhi...

Us Ne Kaha K Ab B Kisi Ki Aankhon Me Doob Jate Ho...
Me Ne Kaha K Ab Kisi Ki Aankhon Me Wo Baat Nhi...

Us Ne Kaha Kyun TooT Kr Chaha Muje...
Me Ne Kaha Insan Hon Pathar Zaat Tu Nhi...

Us Ne Kaha Me Be Wafa Hon...
Me Ne Kaha Wafa Ki Ab Muje Talaash Nhi...

Us Ne Kaha Bhool Ja Muj Ko...
Me Ne Kaha Tum Haqeeqat Ho Khwab Nhi.

 .................................................................................................


"Meri Har Nazar Teri Muntazir"

Meri Har Nazar Teri Muntazir,
Teri Har Nazar Kisi Aur Ki,

Meri Zindagi Teri Bandagi,
Teri Zindagi Kisi Aur Ki,

Kabhi Waqat Jo Mille Tujhe,
Zara Aake Dekh Mere Hal Ko,

Meri Har Ghadi Tere Liya,
Teri Har Ghadi Kisi Aur Ki,

Mujhe Sirf Teri Talab Thi,
Par Jane Mujhe Tu Kyun Na Milla,

Tu Usse Milla Mere Sanam,
Jise Thi Talab Kisi Aur Ki....

.........................................................................

 "Kash Main Tere Haseen Haath Ka Kangan Hota"


kash main tere haseen haath ka kangan hota,
tu bare pyar se bare chaao se bare armaan ke saath,
apani naazuk si kalayee mein charhati mujh ko,
aur betaabi se furqat ke KhizaaN lamhon mein,
tu kisi soch mein Doobi jo ghumatii mujh ko,
main tere haath ki Khushbu se mahak saa jata,
jab kabhi mooD mein aa kar mujhe chuma karti,
tere honTon ki shiddat se main dahak saa jata,
raat ko jab bhi tu neendon ke safar par jati,
marmari haath kaa ik takiya banaya karti,
main tere kaan se lag kar kai baaten karta,
teri zulfon ko tere gaal ko chumaa karta,
jab bhi tu band qabaa kholne lagati jaanaaN,
apani aankhon ko tere husn se kheraa karta,
mujh ko betaab saa rakhta teri chaahat kaa nashaa,
main teri rooh ke gulshan mein mahakata rahta,
main tere jism ke aangan mein khanakata rahta,
kuchh nahi to yahi benaam saa bandhan hota,
kash main tere haseen haath ka kangan hota..

..........................................................................................
 "KOI TO HOTA...."

KOI TO HOTA....
Main jis ke dil ki kitaab benti,,
Main jis ki chahat ka khawab banti,,
Main hijr ke mosem ki lembi raaton main,,
Yaad ben ker azaab benti…
... ... KOI TO HOTA.....

Jo meri khawahish mein uthh ker raaton ko khoob rota,,
Dukhon ki chader lapeit ker hajoom_e_dunya se door hota,,
Main rooth jati manata mujh ko,,
ke chahai mera kasoor hota,,
KOI TO HOTA....

Main jis ke itna kareeb hoti,,
Na paas koi rakeeb hota,,
Main itna uus ka habeeb hoti,,
Ye silsila bhi ajeeb hota,,
KOI TO HOTA........

.............................................................................

 "Mohabbat Phir Mohabbat Hai"



Mohabbat phir mohabat hai
Kabhi dil se nhi jaati,

Hazaron rang hain is k,
Ajab hi dhang hain is k,

Kabhi sehra, kabhi darya,
Kabhi jugnu, kabhi aansu,

Hazaron roop rakhti hai,
Badan jhulsa k jo rakh day,

Kabhi wo dhoop rakhti hai,
Kabhi ban ker ye ek jugnu,

Shab-e-gham k andheron mein,
Dilon ko aas deti hai,

Kabih manzil kinaarey per,
Piyasa maar deti hai,

Azziyat hi azziyat hai,
Magar ye bhi haqiqat hai,

Mohabat phir mohabat hai,
Kabhi dil se nhi jaati.

...............................................................................

 "Meri Zindagi Tou Faraaq Hai"



Meri Zindagi tou firaaq hai, woh azal se dil main makeen sahi
Wo nigah’e_shauq se door hain, rag’e_jaan se lakh qareen sahi
Hamein jaan dainee hai aik din, wo kisi tarah wo kahin sahi
Hamein aap khainchiye daar par, jo nahi koi tu hameen sahi
Sar_e_toor ho sar_e_hasher ho, hamein intizaar qubool hai
Wo kabhi milein, wo kahin milein, wo kabhi sahi, wo kahin sahi
Na ho un pe kuch mera bass nahi, k ye aashqi hai hawas nahi
Mai unhi ka tha, mai unhi ka hoon, wo mere nahi tu nahi sahi
Mujhe bhaithne ki jaga milay, meri aarzoo ka bharam rahay
Teri anjuman mein agar nahi,teri anjuman k qareen sahi
tera dar tau hum ko na mil saka, teri rahguzar ki zameen sahi
hamain sajda karne se kaam hai, jo wahan nahin tau yahin sahi
meri zindagi ka naseeb hai nahin door mujh se qareeb hai
mujhay uska ghum tau naseeb hai wo agar nahin tau nahin sahih
jo ho faisala wo sunaaiye usay hashr pe na uthaiye
jo karain gay app sitam wahan wo abhi sahi wo yehin sahi
Use dekhne ki jo low lagi tu Naseer dekh hi lain gey hum
Wo hazaar aankh se door ho, wo hazaar pardah nasheen sahi
............................................................................................................
  

0 comments:

Post a Comment