ﻭﮦ ﺩﻝ ﻧﻮﺍﺯ ﮨﮯ ﻟﯿﮑﻦ ﻧﻈﺮ ﺷﻨﺎﺱ ﻧﮩﯿﮟ
ﻣﺮﺍ ﻋﻼﺝ ﻣﺮﮮ ﭼﺎﺭﮦ ﮔﺮ ﮐﮯ ﭘﺎﺱ ﻧﮩﯿﮟ
ﺗﮍﭖ ﺭﮨﮯ ﮨﯿﮟ ﺯﺑﺎﮞ ﭘﺮ ﮐئی ﺳﻮﺍﻝ ﻣﮕﺮ
ﻣﺮﮮ ﻟئے ﮐﻮئی ﺷﺎﯾﺎﻥِ ﺍﻟﺘﻤﺎﺱ ﻧﮩﯿﮟ
ﺗﺮﮮ ﺟﻠﻮ ﻣﯿﮟ ﺑﮭﯽ ﺩﻝ ﮐﺎﻧﭗ ﮐﺎﻧﭗ ﺍُﭨﮭﺘﺎ ﮨﮯ
ﻣﺮﮮ ﻣﺰﺍﺝ ﮐﻮ ﺁﺳﻮﺩﮔﯽ ﺑﮭﯽ ﺭﺍﺱ ﻧﮩﯿﮟ
ﮐﺒﮭﯽ ﮐﺒﮭﯽ ﺟﻮ ﺗﺮﮮ ﻗﺮﺏ ﻣﯿﮟ ﮔﺰﺍﺭﮮ ﺗﮭﮯ
ﺍﺏ ﺍُﻥ ﺩﻧﻮﮞ ﮐﺎ ﺗﺼّﻮﺭ ﺑﮭﯽ ﻣﯿﺮﮮ ﭘﺎﺱ ﻧﮩﯿﮟ
ﮔﺰﺭ ﺭﮨﮯ ﮨﯿﮟ ﻋﺠﺐ ﻣﺮﺣﻠﻮﮞ ﺳﮯ ﺩﯾﺪﮦ ﻭ ﺩﻝ
ﺳﺤﺮ ﮐﯽ ﺁﺱ ﺗﻮ ﮨﮯ ﺯﻧﺪﮔﯽ ﮐﯽ ﺁﺱ ﻧﮩﯿﮟ
ﻣﺠﮭﮯ ﯾﮧ ﮈﺭ ﮨﮯ ﺗﺮﯼ ﺁﺭﺯﻭ ﻧﮧ ﻣِﭧ ﺟﺎﮰ
....ﺑﮩﺖ ﺩﻧﻮﮞ ﺳﮯ ﻃﺒﯿﻌﺖ ﻣﺮﯼ ﺍﺩﺍﺱ ﻧﮩﯿﮟ
Woh Dilnawaz Hai Lekin, Nazar Shanaas Nahi
Mera Elaaj Mere Chara-Gar K
Paas Nahi
Tarrap Rahen Hein Zubaan Par
Kai Sawaal Magar
Mere Liyeh Koi
Shayan-e-Iltamaas Nahi
Tere jaloo Mein Bhi Dil kaanp
kaanp Uthta Tha
Mere Mijaaz Ko Aasoodgi Bhi
Raas Nahi
Kabhi Kabhi Jo Tere Qurb Mein
Guzare Thay
Ab Un Dino Ka Tasawur Bhi Mere
Paas Nahi
Guzar Rahe Hein Ajab Marhalon
Se Deeda-o-Dil
Sehar Ki Aas Tou Hai Zindagi Ki
Aas Nahi
Mujhe Yeh Dar Hai Teri Aarzoo
Na Mit Jaey
Bohat Dino Se Tabiat Meri Udaas
Nahi …..
0 comments:
Post a Comment