اجنبی اجنبی سے چہرے , وہ خواب خیمے رواں دواں سے وہ
بسے ہوئے ہیں ابھی نظر میں سبھی مناظر دھواں دھواں سے
یہ عکس داغ ِ شکست ِ پیماں ,وہ رنگ ِ زخم ِ خلوصِ یاراں
میں غمگساروں میں سوچتا ہوں کہ بات چھیڑوں کہاں کہاں سے
یہ سنگریزے عداوتوں کے وہ آبگینےسخاوتوں کے
دل ِ مسافر قبول کر لے، ملا ہے جو کچھ جہاں جہاں سے
بچھڑنے والے بچھڑ چلا تھا تو نسبتیں بھی گنوا کے جاتا
ترے لیے شہر بھر میں اب بھی میں زخم کھائوں زباں زباں سے
مری محبت کے واہموں سے پرے تھا تیرا وجود ورنہ
جہاں جہاں تیرا عکس ٹھہرا ہو کے آیا وہاں وہاں سے
تو ہمنفس ہے نہ ہمسفر ہے کسے خبر ہے کہ تو کدھر ہے
میں دستکیں دے کے پوچھ بیٹھا مکین مکیں سے مکاں مکاں سے
ابھی محبت کا اسم اعظم لبوں پہ رہنے دے جان ِ محسن
ابھی ہے چاہت نئی نئی سی، ابھی ہیں جذبے جواں جواں سے....
Woh
Ajnabi Ajnabi Se Chehray,Woh Khuwab Khaimay Rawan Dawan Se
Basay Hoey Hain Abhi Nazar Mein , Sabhi Manazir Dhuwan Dhuwan Se
Yeh Aks-e-Dagh-e-Shikast-e-Paymaan ,Wo Rung-e-Zakhm-e-Khulos-e-Yaraan
Main Ghumgusaaroon Mein Sochta Hoon ,Keh Baat Cheroon Kahan Kahan Se
Ye Sungraizay Adawtoon K,Woh Aabginay Sakhawton Ke.!!
Dil-e-Musafir Qubool Kar Le, Mila Hai Jo Kuch Jahan Jahan Se
Bichharnay Walay Bichher Chala Tha , Tou Nisbatein Bhi Ganwa K Jata
Tere Liye Shehar Bhar Men Ab Bhi Main Zakhm Khaaon Zubaan Zubaan Se
Meri Mohabbat K Wahimon Se Paray Tha Tera Wujood Warna..!!
Jahan Jahan Tera Aks Thehra, Main Ho K Aaya Wahan Wahan Se
Tu Humnafas Hai Na Humsafar Hai , Kisay Khabar Hai Keh Tu Kidhar Hai
Main Dastkain De Ke Pooch Baitha Makeen Makeen Se Makan Makan Se
Abhi Mohabbat Ka Ism-e-Aazam Labon Pe Rehnay De Jan-e-MOHSIN
Abhi Hai Chahat Nai Nai Si , Abhi Hain Jazbay Jawan Jawan Se…

0 comments:
Post a Comment