Aah ko chahye ik umar asar honay tak
kaun jeeta hai teri zulf ke sar honay tak

dham her mauj mein hai halqa-e-sad kaam-e-nahang
dekhen kya guzarti hai qatre pe gohar honay tak

aashiqi sabr talab aur tamanna betaab
dil ka kya rang karoon khoon-e-jigar honay tak

hum ne mana ke tagaful na karoge lekin
khaak ho jayenge hum tum ko khabar honay tak

partav-e-khoor se hai shabnam ko fanaa ki taaleem
main bhi hoon ek inaayat ki nazar honay tak

yak-e-nazar besh nahin fursat-e-hasti ghafil
garmi-e-bazm hai ik raqs-e-sharar honay tak

gham-e-hasti ka 'Asad' kis se ho juz marg elaaj
shamma har rang mein jalti hai sehar honay tak

((( Mirza Asadullah Khan Ghalib )))