Tuesday, 6 August 2013

Acha Hai Kisi Aur Nazaray Se Jurri Hai

Posted by Unknown on 04:42 with No comments
اچھا ھے کسی اور نظارے سے جُڑی ھے
دُنیا کی طلب یوں بھی خسارے سے جُڑی ھے

باہر  کوئی  اور  تماشہ  ھے  گلی  میں
ھر آنکھ جو کھڑکی کے اشارے سے جُڑی ھے

میں اس لیے دُنیا پہ بھروسہ نہیں کرتا
مٹی کی یہ دیوار بھی گارے سے جُڑی ھے

یہ کشتیوں والے  تو  یوں ہی خوفزدہ ہیں
دریا کی تو ھر موج کِنارے سے جُڑی ھے

ھر دن کسی سُورج کے تعاقُب میں ھے گوھر
ھر  رات  کسی  اور  ستارے  سے جُڑی ھے


Acha Hai Kisi Aur Nazaray Se Jurri Hai
Dunya Ki Talab Yun Bhi Khasary Se Jurri Hai

Bahar Koi Aur Tamasha Hai Gali Mein
Har Aankh Jo Khirrki K Isharay Se Jurri Hai

Mein Si Liyeh Dunya Pay Bharosa Nahi Karta
Matti Ki Yeh Dewwar Bhi Garay Se Jurri Hai

Yeh Kashtiyon Walay Tou Yun He Khof-Zada Hein
Darya Ki Tou Har Mouj Kinaray Se Jurri Hai

Har Din Kisi Sooraj K Ta’aqqub Mein Hai Gohar
Har Raat Kisi Aur Sitaray Se Jurri Hai ,,.. ..

0 comments:

Post a Comment