بہت پہلے سے ان قدموں کی آہٹ جان لیتے ہیں
تجھے اے زندگی ہم دور سے پہچان لیتے ہیں
تجھے اے زندگی ہم دور سے پہچان لیتے ہیں
مری نظریں بھی ایسے قاتلوں کا جان و ایماں ہیں
نگاہیں ملتے ہی جو جان اور ایمان لیتے ہیں
طبیعت اپنی گھبراتی ہے جب سنسان راتوں میں
ہم ایسے میں تری یادوں کی چادر تان لیتے ہیں
خود اپنا فیصلہ بھی عشق میں کافی نہیں ہوتا
اسے بھی کیسے کر گزریں جو دل میں ٹھان لیتے ہیں
جسے صورت بتاتے ہیں پتا دیتی ہے سیرت کا
عبارت دیکھ کر جس طرح معنی جان لیتے ہیں
تجھے گھاٹا نہ ہونے دیں گے کاروبارِ الفت میں
ہم اپنے سر ترا اے دوست ہر احسان لیتے ہیں
فراق اکثر بدل کر بھیس ملتا ہے کوئی کافر
کبھی ہم جان لیتے ہیں کبھی پہچان لیتے ہیں
bohut pehle se un qadamon ki aahat jaan lete hain
tujhe ay zindagi hum door se pehchaan lete hain
meri nazaren bhi aise qaatilon ka jaan o imaan hain
nigaahen milte hi jo jaan aur imaan lete hain
tabiyat apni ghabraati hai jab sunsaan raaton mein
hum aise mein teri yaadon ki chaadar taan lete hain
Khud apna faislaa bhi ishq mein kafi nahi hota
use bhi kaise kar guzren jo dil mein Thaan lete hain
jise surat bataate hain pataa deti hai seerat kaa
ibaarat dekh kar jis tarhaa maa'ni jaan lete hain
tujhe ghaata na hone denge kaarobaar e ulfat mein
hum apne sar teraa ay dost har ehsaan lete hain
Firaq aksar badal kar bhes miltaa hai koi kaafir
kabhi hum jaan lete hain kabhi pehchaan lete hain....
(Firaq Gorakhpuri)

0 comments:
Post a Comment