Friday, 2 August 2013

Din Theher Jaye, Magar Raat Katay

Posted by Unknown on 03:40 with No comments
دن ٹھہر جائے ، مگر رات کٹے
کوئی صورت ہو کہ برسات کٹے

خوشبوئیں مجھ کو قلم کرتی گئیں
شاخ در شاخ مرے ہاتھ کٹے

موجۂ گُل ہے کہ تلوار کوئی
درمیاں سے ہی مناجات کٹے

حرف کیوں اپنے گنوائیں جا کر
بات سے پہلے جہاں بات کٹے

چاند! آ مِل کے منائیں یہ شب
آج کی رات ترے سات کٹے

پُورے انسانوں میں گُھس آئے ہیں
سر کٹے ، جسم کٹے ، ذات کٹے

Din Theher Jaye, Magar Raat Katay
Koi Soorat Ho Ke Barsaat Katay

Khushbuuain Mujhko Qalam Karti Gayin
Shaakh Dar Shaakh Mere Haath Katay

Mouj-e-Gul Hai Ke Talwaar Koi
Darmiaan Se Hee Manajaat Katay

Harf Kiun Apne Ganwayein Jaa Kar
Baat Se Phele Jahan Baat Katay

Chaand ! Aa Mil Ke Manayein Ye Shab
Aaj Ki Raat Tere Saath Katay

Pooray Insaanon Mein Ghus Aayein Hain
Sar Katay, Jism Katay, Zaat Katay

0 comments:

Post a Comment