Wednesday 29 May 2013

وہ شخص مجھ کو جیت کے ہارا ہے اور بس
اتنا ہی زندگی کا خسارہ ہے اور بس

 
کیسے کہوں کے اُس کا ارادہ بدل گیا
سچ تو یہی ہے اُس نے پکارا ہے اور بس


دُنیا کو اس میں درد کی شدّت کہاں ملے
آنکھوں سے ٹوٹا ہوا تارا ہے اور بس

لفظوں میں دردِ ہجر کو محسوس کرکے دیکھ
کہنے کو میں نے وقت گزارا ہے اور بس

اب اُن میں کوئی خواب سجانے نہیں مجھے
آنکھوں کو انتظار تمھارا ہے اور بس

میں نے کہا کہ خواب میں دیکھی ہیں بارشیں
اُس نے کہا کہ ایک اشارہ ہے اور بس

عاطف سعید


wo shakhs mujhe ko jeet ke haara hai aur bas,
itna hi zindagi ka khasara hai aur bas,


kaise kahoon k us ka irada badal gaya,
sach to yehi hai us ne pukara hai aur bas,


duniya ko is mein dard ki shiddat kahan milay,
aankhon se tootta taara hai aur bas,


lafzon mein dard hijar ko mehsoos kar ke dekh,
kehne ko mein ne waqt guzara hai aur bas,


ab in mein koi khwab sajane nahin mujhe,
ankhon ko intezar tumhara hai aur bas,


mein ne kaha ke khwab mein dekhi hain baarishen,
us ne kaha ke ek ishaara hai aur bas

0 comments:

Post a Comment