Thursday, 25 July 2013

Kya Zamana Tha Ke Hum Roz Mila Karte Thay

Posted by Unknown on 02:59 with No comments
کیا زمانہ تھا کہ ہم روز ملا کرتے تھے 
رات بھر چاند کے ہمراہ پھرا کرتے تھے
جہاں تنہائیاں سر پھوڑ کے سو جاتی ہیں 
ان مکانوں میں عجب لوگ رہا کرتے تھے
کر دیا آج زمانے نے انہیں بھی مجبور
کبھی یہ لوگ مرے دکھ کی دوا کرتے تھے
دیکھ کر جو ہمیں چپ چاپ گزر جاتا ہے 
کبھی اس شخص کو ہم پیار کیا کرتے تھے 
اتفاقاتِ زمانہ بھی عجب ہیں ناصر
آج وہ دیکھ رہے ہیں جو سنا کرتے تھے
Kya zamana tha ke hum roz mila karte thay
Raat bhar chand ke humrah phira karte thay

Jahan tanhaiyan sar phor ke so jaati hain
Un makaanon mein ajab log raha karte thay

Kar diya aaj zamane ne unhain bhi majboor
Kabhi yeh log mere dukh ki dawa karte thay

Dekh kar jo hamein chup chaap guzar jaata hai
Kabhi us shakhs ko hum pyar kiya karte thay

Ittefaqaat-e-zamana bhi ajab hain Nasir
Aaj woh dekh rahe hain jo suna karte thay


((NASIR KAZIMI))

 

0 comments:

Post a Comment