Tuesday, 13 August 2013

Husn Gul Hai, Bahaar Daita Hai

Posted by Unknown on 02:40 with No comments
حسنِ گل ہے ، بہار دیتا ہے
 عشق ہستی سنوار دیتا ہے

 صرف اک دل کا رونا روتے ہو
 غم تو بستی اجاڑ دیتا ہے

 جو بھی دل چاہے دل کے ساتھ کرو
 دل تمہیں اختیار دیتا ہے

 چند گھڑیاں ادھار مانگی تھیں
 آج کل کون ادھار دیتا ہے

 آدمی بادشاہ ہے جنگل کا
 یہ تو اپنے بھی مار دیتا ہے

 خواب میں التجا وہ کرتے ہیں
... قیس زلفیں سنوار دیتا ہے


Husn Gul Hai, Bahaar Daita Hai
Ishq Hasti Sanwaar Daita Hai

Sirf Ik Dil Ka Rona Rotay Ho
Gham Tou Hasti Ujaarr Daita Hai

Jo Bhi Dil Chahe Dil K Sath Karo
Dil Tumeh Ikhtiyaar Daita Hai

Chund Gharryaan Udhaar Mangi Thi
Aaj Kal Kon Udhaar Daita Hai

Aadmi Baadshah Hai Jungle Ka
Yeh Tou Apne Bhi Maar Daita Hai

Khuwaab Mein Iltija Woh Karte Hein
Qais Zulfein Sanwaar Daita Hai..

0 comments:

Post a Comment