کُو بہ کُو پھیل گئی بات شناسائی کی
اُن نے خوشبو کی طرح میری پذیرائی کی
کیسے کہہ دوں کہ مُجھے چھوڑ دیا اُس نے
بات تو سچ ہے مگر بات ہے رُسوائی کی
وہ کہیں بھی گیا، لَوٹا تو مرے پاس آیا
بس یہی بات اچھی مرے ہرجائی کی
تیرا پہلو، ترے دل کی طرح آباد ہے
تجھ پہ گُزرے نہ قیامت شبِ تنہائی کی
اُس نے جلتی ہُوئی پیشانی پہ جب ہاتھ رکھا
رُوح تک آ گئی تاثیر مسیحائی کی
Ku-ba-ku phail gai baat shanasai ki
Us ne khushbu ki tarah meri pazirai ki
Kaise keh dun k mujhe chor diya hai us ne
Baat to sach hai magar baat hai ruswai ki
Wo kahin bhi gaya lauta to mere pas aaya
Bass yahi baat hai achi mere harjai ki
Tera pehlu tere dil ki tarah abaad rahe
Tujh pe guzre na qayamat shab-e-tanhai ki
Us ne jalti hui peshani pe jo hath rakha
Rooh tak aa gai taasir masihai ki
(Parveen Shakir)

0 comments:
Post a Comment